Watching a movie with a nationalistic flavor does impact your mind.. so what if its temporary..
zindagi jab chhadh jaati hai.. to kai baar dil khaali hota hai..
Rang De Basanti.. mohe rang de.
Wanderer: Mujhe to lagta hai.. kissi cheez ke liye lad jaayen.. voh jazba to hai hi nahin hamare andar!
Dreamy Eyes: Dost.. isi jazbey ki talaash mein to zindagi nikal jaati hai.. hamaara safar to abhi shuru bhi nahin hua hai..
Wanderer: Par us jazbey ke bina jeena bhi kya jeena.. jasbe ke saath to chaar din bhi jiye.. to kaafi hai!
Dreamy Eyes: Un chaar dinon ki hi to talaash jaari hai dost. un char dinon ke liye life ke chalees saal beet jaate hain!
Wanderer: Are we closing our eyes to what lies in front of us and running towards a mirage? An invisible target? Seeking the source of fragrance like the musk deer? ( Kasturi Mrig)
Dreamy Eyes: Hmm.. I think ki we're much better than those who don't want to. The fact that we're searching for a mirage shows that we're willing to the extent of craziness to follow our ideas!
Wanderer: Wouldn't that only be a pretense if we're closing our eyes to the present. Should satisfy us if we're better off than others? Is life worth living without having a crazy purpose to it that we could give ourselves to?
Dreamy Eyes: Kisne kaha ki hamne present se aakhen band kar rakhi hain.. aaj jo tasveer dikh rahegi.. vohi to kal ki prerana banegi. Aur haan.. I believe that at least some thirst of ours should be quenched by the knowledge that we're better off than others. And for your last question.. do you already have a crazy idea worth living for.. worth DYING for? If yes... e x c e l l e n t!! If not.. then WELCOME ABOARD.
Wanderer: Maybe the ideas are present but we aren't willing to take them up! We're waiting for something bigger/better.. which seems crazy enough.. while we ourselves are not sure what's 'enough' for us! Voh kehte haina... adjust karne ki aadat si pad gayi hai!
Dreamy Eyes: HUH!!
Wanderer: College mein log jaante hai apan ko.. kuchh aukaat hai apni.. kehte hai.. Kuchh to baat hai apan mein.. kuchh kar ke dikhayega yeh.. .. aur agar abhi kuchh nahin kiya.. to apun bhi kho jaayega laakhon ki bheed mein.. pis jaayenge ek andhi daud mein.. Sirf ek safed Chadar.. kuchh phool.. Ek kutta bhi nahin royega apni maut par!
Dreamy Eyes: Dude.. tum jaante ho ki tumhe kya karna hai? Agar haan.. to lag jaao uske peeche!! kyonki vohi tumhaara passion hai.. to tum zaroor ek star banoge!
Wanderer: Are we spending our lives 'running away from something'.. pretending that we're running towards something else?
Ab bhi jo na khaul utthe, voh khoon nahin hai paani hai..
desh ke kaam jo na aaye.. voh bekaar jawaani hai!
Lag raha hoga na tujhe.. apan raat ko movie dekh ke aaya hai.. full tight hai.. kal tak saara nasha utar jaayega!
Dreamy Eyes: Nahi.. mujhe pata hai ki tu sirf movie se tight nahin hua hai... yeh teri philosophy rahi hai.. jab se main tujhe jaanta hoon..
to yeh jo chhadhi hai.. itni jaldi nahin uttregi
zindagi chhadh jaati hai voh bhi bina hang over ke... par saaki haina..
saaki har ghadi phir se mera jaam bhar diya karta hai.. !
ab utarne mein time lagega!
wanderer..
Wednesday, February 01, 2006
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
abey yeh toh mein hu [:P]
Post a Comment